Bas Ek Lamhe Ka Jhagda Tha – Gulzar Poem

बस एक लम्हे का झगड़ा था। Bas Ek Lamhe Ka Jhagda Tha – Beautiful Poem (Nazm) by Gulzar in Hindi

बस एक लम्हे का झगड़ा था
दर-ओ-दीवार पे ऐसे छनाके से गिरी आवाज़
जैसे काँच गिरता है
हर एक शय में गई
उड़ती हुई, चलती हुई, किरचें
नज़र में, बात में, लहजे में,
सोच और साँस के अन्दर
लहू होना था इक रिश्ते का
सो वो हो गया उस दिन
उसी आवाज़ के टुकड़े उठा के फर्श से उस शब
किसी ने काट ली नब्जें
न की आवाज़ तक कुछ भी
कि कोई जाग न जाए
बस एक लम्हे का झगड़ा था

Bas Ek Lamhe Ka Jhagda Tha – Gulzar Poem Hindi

Bas Ek Lamhe Ka Jhagda Tha
Dar-O-Deewar Pe Aise Chanake Se Giri Awaaz
Jaise Kaanch Girta Hain
Har Ek Shay Me Gayi
Udti Hui, Chalti Hui, Kirche Nazar Mein,
Baat Mein, Lehze Mein,
Soch Aur Saans Ke Andar
Lahu Hona Tha Ik Rishte Ka
So Wo Ho Gaya Us Din
Usi Awaaz Ke Tukde Uthake Farsh Se Us Shab
Kisi Ne Kaat Li Nabze
Na Ki Awaaz Tak Kuch Bhi
Ki Koi Jaag Na Jaye
Bas Ek Lamhe Ka Jhagda Tha