इक इमारत
है सराय शायद,
जो मेरे सर में बसी है.
सीढ़ियाँ चढ़ते-उतरते हुए जूतों की धमक,
बजती है सर में
कोनों-खुदरों में खड़े लोगों की सरगोशियाँ,
सुनता हूँ कभी
साज़िशें, पहने हुए काले लबादे सर तक,
उड़ती हैं, भूतिया महलों में उड़ा करती हैं
चमगादड़ें जैसे
इक महल है शायद!
साज़ के तार चटख़ते हैं नसों में
कोई खोल के आँखें,
पत्तियाँ पलकों की झपकाके बुलाता है किसी को!
चूल्हे जलते हैं तो महकी हुई ‘गन्दुम’ के धुएँ में,
खिड़कियाँ खोल के कुछ चेहरे मुझे देखते हैं!
और सुनते हैं जो मैं सोचता हूँ !
एक, मिट्टी का घर है
इक गली है, जो फ़क़त घूमती ही रहती है
शहर है कोई, मेरे सर में बसा है शायद!
Ik Imaraat Hai Sarai Shayad,
Jo Mere Sar Mein Basi Hain.
Seedhiyan Chadthe-Utarte Hue Jutho hi Dhamak,
Bajti Hai Sar Mein
kono-Khudro Mein Khade Logo Ki Sarghoshiyan,
Sunta hoon Kabhi
Saajisheyn, Pehne Hue Kale Labade Sar Tak,
Udti Hain, Bhutiya Mahalo Mein Uda Karti Hain
Chamgadade Jaisi
Ik Mahal Hain Shayad
Saaj Ke Taar Chatakte Hain Naaso Mein
Koi Khol Ke Aankhe,
Pattiyan Palko Ki Jhapkake bulata Hain Kisi Ko !
Chulhe Jalte Hain To Mehaki Hui Gandum Ke Dhue Mein,
Khidkiyan Khol Ke Kuch Chehre Mujhe Dekthe Hain,
Aur Sunte Hain Jo Mein Sochta Hoon !
Ek Mitti Ka Ghar Hain
Ik Gali Hain, Jo Fakat Ghumti Hi Rehati Hain
Shehar Hain Koi, Mere Sar Mein Basa Hain Shayad !!!!